MUSKURATE RAHO Har shaam ki ratah uss shaam bhi mann machal raha tha, aur main bistar par karwatein badal raha tha, Aankh lagi hi the ki mujhe laga jaise darwaze par dastak hui, Maine darwaza khola, dupatta gulabi, aankhein sharabi, baal reshmi, mizaz nawabi, Kya husn tha, kya haal tha, Jo tha bemisaal tha. Usne bataya ki mere kamre ke baju wale khali kamre me woh rehne aayi thi, katle aam hua mein uski nazron se, koi chaku ya churi nahi, Dosto!! laga ki ab bju wale kamre ki tarah meri kismat bhi adhoori nahi. Phir kya tha, baatein hui, mulakatein hui, jinka zikr nahi hota waisi nji raatein hui, saath sadak par gaadiyo ki taraf mein chalta tha, Uski har muskurahat par yeh dil machalta tha. Ek din naa jaane kyun usne mujhse kaha ki, Humare bich ab woh baat nahin, Mujhe yehi samaj mein nahi aaya ki aakhir humare bich jagah kaha thi. Maine lakh samjhaya par woh maani nahi, Mere liye uske bina koi khaani nahi, Ek pal mein chali gayi woh muj...
Posts
BROKEN BUT BEAUTIFUL
- Get link
- X
- Other Apps
BROKEN BUT BEAUTIFUL Aasman mein chamakte hue sitare toh hum roz dekhte hai, Lekin sirf toot te hue taare ko dekh, aakhein moonde, hum sapne sekte hai. Kuch chizon ki keemat unke tootne ke baad badh jaati hain, Jaise dil, Ristein aur unn rishton me uljhe hue logo ke toote phute se dil. Mein nahi jaanta ki toote hue tookdon ko kaun jodta hain, Likin itna zaroor janta hoon ki thand se thitoorta hua woh aadmi aaj bhi phati hui chadar kyun odhta hain, Kyuki aaj bhi woh chadar use apni yaad dilaati hain, Woh chadar aaj bhi khudko khudse milati hain. Woh pyaar hi kya jisko khone ka darr na ho, Woh musafir hi kya jiska sach mein koi ghar na ho, Agar safar pe chal bhi rahe ho toh ek thandi saans bhi toh kheecho, Aaj agar toote ho toh kal shiddat se bikharna bhi toh sikho, Sikho, kyunki majnu ne bhi toh laila ke sath odha tha kafan, Sikho, kyuki shahjahan bhi toh hai aaj mumtaz ke sath dafan, Dekho ishq marne ke baad bhi nahi marta, Aashiqon ka dil ...