MUSKURATE RAHO
Har shaam ki ratah uss shaam bhi mann machal raha tha,
aur main bistar par karwatein badal raha tha,
Aankh lagi hi the ki mujhe laga jaise darwaze par dastak hui,
Maine darwaza khola, dupatta gulabi, aankhein sharabi, baal reshmi, mizaz nawabi,
Kya husn tha, kya haal tha,
Jo tha bemisaal tha.
Usne bataya ki mere kamre ke baju wale khali kamre me woh rehne aayi thi,
katle aam hua mein uski nazron se,
koi chaku ya churi nahi,
Dosto!! laga ki ab bju wale kamre ki tarah meri kismat bhi adhoori nahi.
Phir kya tha, baatein hui, mulakatein hui, jinka zikr nahi hota waisi nji raatein hui,
saath sadak par gaadiyo ki taraf mein chalta tha,
Uski har muskurahat par yeh dil machalta tha.
Ek din naa jaane kyun usne mujhse kaha ki,
Humare bich ab woh baat nahin,
Mujhe yehi samaj mein nahi aaya ki aakhir humare bich jagah kaha thi.
Maine lakh samjhaya par woh maani nahi,
Mere liye uske bina koi khaani nahi,
Ek pal mein chali gayi woh mujhe chod kar,
Woh raatein, woh bistar, woh karwate,wapis mujh tak mod kar,
Phir har sham ki tarah uss sham ki tarah mann machal raha tha,
Aur mein bistar par karwatein badal raha tha,
Aankh lagi hi thi, mujhe laga jaise darwaze par dastak hui.
Kya maine aapko bataya ki mein bhool gaya tha ki mere dusri side wala kamra bhi khali yha,
Maine darwaza khola, iss baar dupatta neela, mizaz sharmila, jaise koi kamaal, kya husn kya haal.
Phir katle aam hua mein uski nazron se,
koi chaku ya churi nahi,
Dosto muskurate raho zindagi itni bhi buri nahi.
Toh baat aisi hai, ghar jaisi hain,
Kabhi kabhi thodi zaad pi leta hoon,
Zindagi had se zyada ji leta hoon,
Uss din maa ne kaha tha ki papa der se aayege,
Toh humne bhi socha tha ki tab tak jaam pe jaam lagayenge,
Tu small milata gaya large banata gaya,
8 peg pet ke andar gaye aur 2 mez par tayar kiye,
ginn kar pure 10 hue,
Itne me darwaze par dastak hui,
Maine darwaza khola, saamne papa khade the aur mein unki nazron mein nahi khada ho saka,
Unka batana, daatna, samjhana, jatana har ek chehra meri aankhon se hokar guzra,
Aur woh bin kuch bolkar mere dil se hokar guzre,
Din, saptah, mahine, humari baatein bandh thi,
Na woh kuch kehte aur na meri himmat thi,
Apne hi ghar mein kabhi itna akela nahi laga tha,
Papa ki kameez pehan kar kabhi itna paraya nahi laga tha.
Ghadi ki tik tik ne har secone maar daala tha,
Roz bajte rahe 9,1011,12,12,12,12,
Ke laga jaise darwaze par dastak hui,
Maine darwaza khola saamne papa khade the.
Kya maine aap logo ko bataya ki main bhool gaya tha ki uss raat mera janamdin tha,
papa muskurakar bole lo beta ho gaye tum 21,
Piche se woh botel nikali woh thi glenfiddich.
Kaha sath subah tak baith kar jaam lagayenge,
Ek dusre ko kisi teesre ki kahaani sunayenge,
Uss raat laga jaise raat puri rahi,
Dosto muskurate raho zindagi itni bhi buri nahi.
Kuch gine chune se saal hain,
Jo hain woh yehi haal hain,
Thode ristein hai zyada waade hain,
Kuch pure hain kuch aadhe hain,
4 dost hain anek irade hain,
Zindagi haar jeet se aage hain,
Jo batein adhoori hain adhoori hi sahi,
Dosto muskurate raho zindagi itni bhi buri nahi.
Comments
Post a Comment